Archive for August 20, 2009

Aansuon Ka Kya..

Posted: August 20, 2009 in Bewafai Shayari
Tags: ,

aansuon ka kya sanam ye to ab aate hi rahenge
khushi to kabhi gham me hum bahaate hi rahenge
laakh kar bewafaai hum kuch na kahenge tujhe
diwaano ki tarah hum tujhe chahte hi rahenge

mila jo kabhi jindagi me use bhulaya nahi kabhi
kabhi dushman ko bhi humne rulaya nahi kabhi
gar kabhi dekhoge humare chehrey ki taraf
lagega ki jaise humein kisi ne hansaya nahi kabhi


Kab Milay The…

Posted: August 20, 2009 in Yaad Shayari
Tags: , ,

kab miley the hum ye ab yaad na raha
kab bichhade the ye bhi yaad na raha
kab hansey the ye to andaaza tha hi nhi
kab roye the abto ye bhi yaad na raha

Jab Hum Uspar..

Posted: August 20, 2009 in Dard Bhari Shayari
Tags: ,

jab hum uspar apna haq jataane lage
bina kuch kahey aansu bahaane lage
wo chal diye haath mera chhod kar
or wo door jaate hue muskuraane lage

Hum se Aghar…

Posted: August 20, 2009 in Laila a.ka. Naila
Tags: ,

Hum se aghar koi bhool huwi,
To tum humai bata to dete,
Hamesha hasaate rahe tum,
Kya hota jo ek baar rula dete…


Jin Se Pyaar…

Posted: August 20, 2009 in Laila a.ka. Naila
Tags: , , , ,

Jin se pyaar karte hai un ka dil nahi tora karte,
Pal bhar ki larai ki wajah se uneh chora nahi karte

Gulaabon ki rangat
Gulaabon ki khushboo
Subha ki dilkash hawa hain tu

Samunder ki lehar
Sumander ka jaadoo
Suraj ki roshan kiran hain tu

Mere labon ka paiymana
Mere labon ki pyaas
Mere dil ki dhadkan hain tu

Har din ka noor
Har din ka ujhaala
Kaisay Ab Kahe

Mere Jaan Hai Tu

Palkein Hai Bheegi..

Posted: August 20, 2009 in Laila a.ka. Naila
Tags: , , , , ,

Palkain hai bheegi huwi TERE aansou se,
eh sanam aaya hai yeh kaisa MUQAAM mohabbat mai….

Pehle Se Ziyada.

Posted: August 20, 2009 in Laila a.ka. Naila
Tags: , , , ,

Pehle se ziyada mai ne ab tumhara intizar kiya,
Kisi or se nahi mai ne sirf tum se pyaar kiya

Tumhare Yaad…

Posted: August 20, 2009 in Laila a.ka. Naila
Tags: , , , ,

Dil ka zakham jab hara hone laghe,
Hole se humai kuch yaad aane lage,
Woh din jo hum nai sath guzaare the,
Woh mosam jo bin hazaan ki the,
Woh choti choti khushya,
Woh nanhi nanhi khawahishay,
Woh sapno ki duniya mai kho jaana,
Phir chunk kar khyaal se bahir aana,
Woh khud ko ayne mai dekh kar sharmaana,
Phir koi bhi baat saheliyou se na chupana,
Woh kuch kehte kehte ruk jaana,
Woh dekhte dekhte nigaahou ka jhuk jaana,
Woh muskurahat ko daantou tale dabaana,
Apne armaanou or amangou ko sajaana,
Kisi apne ki hone ka ehsaas,
Man mai ek anhoni pyaas,
Par phir tum hum se bichar gaye,
Meri umeed mere jazbaat bikhar gaye,
Ab ek hum hai or tumhara intizaar,
Loat aao mere paas sirf ek baar!