Posts Tagged ‘Dard Bhari Shayari’

Jab Woh Humse Door Hogaye
Sarey Haseen Khwaab Chor Hogaye

Humne Wafa Nibhai Tho Badnami Mili
Aur Woh Tho Bewafai Kar Ke Bhi Mashoor Hogaye..

Woh Apni Saari Nafratein Mujh Pe Lutata Raha,
Mera Dil Jis Ko Sada Mohabbatein Sikhata Raha.

Uss Ki Aadat Ka Zara Yeh Pehlo Toh Dekho,
Mujh Se Kiye Vaade Woh Kisi Aur Se Nibhata Raha.

Kuch Khabar Nahi Woh Shaks Kya Chahta Tha,
Ke Taaluq Tode Kar Bhi Mujh Ko Aazmata Raha.

Toote Howe Taaluq Main Bhi Kitni Mazbooti Hai,
Main Jitna Bhoolati Rahi Woh Utna Hi Yaad Aata Raha

Zaroori Tho Nahi Joh Khushi De Usse Se Mohabbat Ho
Pyar Toh Aksar Dil Todne Waloon Se Ho Jaata Hai

Yehi Wafaa Ka Silaah Hain Tho ”Koi Baat Nahi”
Yeh Dard Tumne Diya Hain Tho ”koi Baat Nahi”

Yehi Bohot Hain K Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hain Tho ”Koi Baat Nahi”

Rakha Tha Aashiyana-e-Dil Main Chupa K Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hain Tho ”Koi Baat Nahi”

Tum Hei Ne Aaina-e-dil Mera Banaya Tha
Tum Hei Ne Toor Diya Hain Tho ”koi Baat Nahi”

Kis Ki Majal Kahe Koi Mujhko Deewana
Agar yahi Baat Tumne Kaha Hain Tho ”Koi Baat Nahi…

Tumhe Paa k Khona Mere Bas Main Nahi
Ab Koi Aur Zakham Pirona Mere Bas Main Nahi

Ek Omar Tak Dhoya Hain Dil K Dagoon Ko
Ab Yeh Dagh Dhona Mere Bas Main Nahi

Jaag Chuke Hain Bohat Shab Ki Tanhaiyon Main K
Ab Raton Ko Sona Mere Bas Main Nahi

Khushyon Ki Aakhri Umeed Le K aaya Hun Tere Pass
Dukhon Main Ab Rona Mere Bas Main Nahi

Tere Baad Nazar Aati Nahi Mujhe Koi Bhi Manzil
Kisi Aur ka Hona Ab…..Mere Bas Main Nahi..

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia

Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi

Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba

Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia

Jeethe the Kabhi Hum Bhi Bade Shaan Se
Mehek Uthi Thi Fiza Kisi K Naam Se

Par Guzre Hai Hum Kuch Aise Mukaam Se
K Nafrat Si Hogayi Hai Mohabbat K Naam Se…

Aaj Woh Khud Bhi Ro Para Mujhe Kaffan Mein Dekh Kar
Jo Kabhi Kehta Tha Mujhe Intizar Hai Tumhari Mayyat Pe Muskrane Ka…

Meri Har Nazar Teri Muntazir Teri Har Nazar Kisi Aur Ki
Meri Zindagi Teri Bandagi Teri Zindagi Kisi Aur Ki

Kabhi Waqt Jo Mille Tujhe Zara aa k Dekh Mere Haal Ko
Meri Har Ghari Tere Liye Teri Har Ghari Kisi Aur Ki

Mujhe Sirf Teri Talab thi par Jaane Tu Q na milla
Tu Usse milla Mere Sanam Jise thi Talb Kisi Aur k

By

Samiya Khan

mila jo kabhi jindagi me use bhulaya nahi kabhi
kabhi dushman ko bhi humne rulaya nahi kabhi
gar kabhi dekhoge humare chehrey ki taraf
lagega ki jaise humein kisi ne hansaya nahi kabhi